Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha
Main Nay Ik Wasl Ko Ik Hijr Ki Haalat Likha
Main Nay Likha Keh Saf-E-Dil Kabhi Khali Na Hui
Aur Kabhi Khali Hui Bhi To Malaamat Likha
Sirf Aawaz Kahan Tak Mujhay Jaari Rakhti
Main Nay Chup Saadh Li Sannatay Ko Aadat Likha
Yeh Safar Paaoon Hilanay Ka Nahin Aaankh Ka Hai
Main Nay Is Baab Main Ruknay Ko Masaafat Likha
Main Nay Perwaaz Likhi Hud-E-Falak Say Aagay
Aur Bay Baal-O-Pari Ko Bhi Nehaayat Likha
Main Nay Dasktak Ko Likha Kash-Makash-E-Bay Khabri
Jumbish-E-Parda Ko Aanay Ki Ijaazat Likha
Likhnay Walon Nay To Honay Ka Sabab Likha
Main Nay Honay Ko Na Honay Ki Wazahat Likha
Ashk Agar Sab Nay Likhay Main Nay Sitaray Likhay
Aajzi Sab Nay Likhi Main Nay Ibaadat Likha
Main Nay Khushboo Ko Likha Dastaras-E-Gumshudgi
Rung Ko Faasla Rakhnay Ki Riwaayat Likha
Zakhm Likhnay Kay Liye Main Nay Likhi Hai Ghaflat
Khoon Likhna Tha M agar Main Nay Haraarat Likha
Husn-E-Goyai Ko Likhna Tha, Likho Sargohsi
Shor Likhna Tha So Aazar-E-Sama’at Likha
Meray Sir Pay Kabhi Afsos Ka Saya Na Reha
Ranj Tha Jis Ki Jagah Main Nay Shikayat Likha
Main Nay Tabeer Ko Tehreer Main Aanay Na Diya
Khwab Likhtay Huay Mohtaj-E-Bashaarat Likha
Koi Aasaan Rafaqat Nahin Likhi Main Nay
Qurb Ko Jab Bhi Likha Juzw-E-Raqabat Likha
Itnay Daawon Say Guzar Ker Yeh Khayal Aata Hai
Azm Kya Tum Nay Kabhi Harf-E-Nadamat Likha.

No comments:
Post a Comment