Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono
na main tum se koi umeed rakhon dilnawazi ki
na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se
na meray dil ki dharkan larkharaey meri baton se
na zaher ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se
tumhain bhe koi uljhan rookti hai paish qadmi se
mujhay bhe loog kehtay hain k ye jalway paraey hain
meray hamraah bhe ruswaiyan hain meray mazi ki
tumharay saath bhe gozri hoe raton k saaey hain
ta”aruf roug ho jaey tu usko bhoolna behtar
taaluq roug ban jaey tu usko toorna acha
wo afsana jisay anjaam tak lana na ho mumkin
uasay ik khoobsorat mour de k bhoolna acha
Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono.
No comments:
Post a Comment