Chandni Raat Ko Saher Kehna


Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi Magar Kehna

Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna

Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna

Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna

Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna

Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna

Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna

Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...