Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha


Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy Main Khud Hi
Kho Gayi Tou Ye Mera Naseeb Tha.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...