Jahan talak bhi ye sehra dikhaai deta hay

Jahan talak bhi ye sehra dikhaai deta hay
meri tarha sey akela dikhaai deta hay

na itni taiz chaley sar-phiri hawa sey kaho
shajar pe aik hi patta dikhaai deta hay

bura na maneye logon ki aib joi ka
inhain tu din ka bhi saya dikhaai deta hay

ye aik abr ka tukra kahan kahan barsey
tamam dasht hi piyasa dikhaai deta hay

waheen pohanch k giraen gai badbaa.n ab tu
wo door koi jazeera dikhaai deta hay

wo alwida ka manzar wo bhegti palkain
pase ghubaar bhi kiya kiya dikhaai deta hay

meri nigah sey chup kar kahan rahey ga koi
k ab tu sang bhi shisha dikhaai deta hay

simat k reh gai akhir pahaar sey qad bhi
zameen sey har koi oncha dikhaai deta hay

khuli hay dil main kisi k badan ki dhoop
har aik phool sunehra dikhaai deta hay.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...