Qatal gahain basany waly hain


Qatal gahain basany waly hain
hum janazy uthany waly hain

Hum pe kya kya qayamaten dhaien
jab suna muskurane waly hain

Ye suna hai k ab naye dhab se
woh humain aazmane waly hain

Maine bachon se keh diya kal shab
imtehan or aane waly hain

Jane kese chalak pari aankhain
hum to gham ko chupane waly hain

Aankhon aankhon main keh gaye hum bhi
hum kahan baaz aane waly hain

Woh tou khud hi bhatak rahy hain Aks
rasta hum dikhane waly hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...