Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to hai


Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to hai
tere hathon ke lakiron mein mera naam to hai

mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi
tu zamane mein mere naam se badanam to hai

mere hisse mein koi jam na aaya na sahi
teri mahafil mein mere naam koi sham to hai

dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main khush hun muhabbat ka ye anjam to hai

wo sitamagar hi sahi dekh ke usko
shukr is dil-e-bimar ko aaram to hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...