Teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi
tu jo badhaa de haath zaraa duniyaa ke sahaare kuchh bhi nahin
maan liyaa dilkash hain bahut ye raat haseen ye chaand jawaan
baat jo dekhi hai tujh mein nazaaron mein wo baat kahaan
saamne mere tu ho agar duniyaa ke nazaare kuchh bhi nahin
teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi
saath hai mere tu jab tak roshan hain jeewan ki raahen
kyun ho mujhe manzil kaa gham patwaar hain jab teri baahen
maanjhi hai gar tu naiyyaa kaa toofaan ke dhaare kuchh bhi nahin
teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi
baandh liyaa bandhan mein tumhen bas mein kar liyaa bahaaron ko
hai ye wo bandhan jo kar de aazaad ghamon ke maaron ko
pyaar ki tere chhaanv mile to gham ke sharaare kuchh bhi nahin
teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahin.
No comments:
Post a Comment