Khauff-e-duniya se mere paas na aane wale,


Khauff-e-duniya se mere paas na aane wale
Jaan rakhte hain hatheli pe nibhane wale

meri ruswai mein gairon ka koi dosh nahi
iss mein shamil hain mere apne chahne wale

kitna nadaan hoon iss aas pe zinda hoon
laut aayenge mujhe chod ke jaane wale

ab kahon tujhko main 'mohsin' toh bhala kaise kahoon
kar ke ehsaan sar-e-aam jatane wale

ab toh rasta hai na manzil hai na shanasa hai koi
shukriya shukriya iss mod pe laane wale.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...