Musafir ke raste badalte rahe, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Musafir ke raste badalte rahe
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe
koi phool sa haath kaandhe par tha
Mere paoon sholo par chalte rahe
Mere raaste mein ujala raha
Diye uski aankhon ke jalte rahe
Woh kya tha jise humne thukra diya
Magar umar bhar haath malte rahe
Mohabbat,adaawat,wafa,berukhi
kiraye k ghar the badalte rahe
Suna hai unhe bhi hawa lag gayi
Hawaoon ke jo rukh badalte rahe
Lipat ke chirago se woh so gaye
Jo phoolon par karvat badalte rahe.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...