Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi
Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi
Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi
Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi
Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi
Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na aati hogi
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...