Koi tumse pooche kaun hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ek dost hai kaccha pakka sa
Ek jhooth hai aadha saccha sa
Jazbaat ko dhake ek parda bas
Ek bahana hai accha sa
Jeevan ka ek aisa saathi hai
Jo door ho ke pass nahin
Koi tumse pooche kaun hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Hawa ka ek suhana jhonkha hai
Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa
Shakal dekh kar jo nazrein jhuka le
Kabhi apna toh kabhi begaano sa
Zindgi ka ek aisa humsafar
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi
Koi tumse pooche kaun hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai
Yoon toh uske na hone ka kuch gham nahi
Par kabhi-kabhi aankho se ansoo ban ke beh jaata hai
Yoon rehta toh mere tassavur mein hai
Par in aankhoon ko uski talaash nahi
Koi tumse pooche kaun hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi.