Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu New Poetry, Urdu Latest Poetry, Urdu Romantic Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Ghazal, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Pashto Poetry, Pashto Ghazal, Pashto Ghazal Poetry, Latest Pashto Poetry, Pashto Romantic Poetry, Pashto Romantic Ghazal etc....
Showing posts with label Nice Poetry. Show all posts
Showing posts with label Nice Poetry. Show all posts
Woo larki bi ak ajeeb pahali thi

Woo larki bi ak ajeeb pahali thi
Piyasay honth thay ankh samander jaisi thi
Atay jatay mosam uss ko dastay thay
Hastay hastay palkon say ro parti thi
Adi raat guwa deti thi chup rah kar
Adi rat k chand say batain karti thi
Mom say nazuk jism sahar ko dukhta tha
Diyah jala k shaab bhar ap phigalti thi
Taiz hawa ko rok k apnay anchal per
Sokhay phool ikhatay karti phirti thi
Kal shaab chikna choor howa tha dil uss ka
Ya phir pehli bar woo khul k roye thi
Mohsin kia janay kyn dhoop say be-parwa
Woo apnay ghar ki dahleez per baithi thi.
Pashto Best Poetry, Pashto Poetry, Rehman Baba Poetry,

Pa qismat che sook jaregi bewaqof day
Qismatona pa jara samegi na
Haggha kegi che Allah ye moqarar kari
Che sa lek we pa taqdir badlegi na
Mohabbat ye che pa khpala khwakha na we
Meney cherta hum pa zora kegi na
Ka sal kaala da cha omar she kho bya hum
Pa jwandon bandi hissok maregi na
Che seerat ye khaista na we A "RAHMANA",
Tash soorat bandi hissok khaiegi na.
Pa Shebo Shebo BARAN dy
Pa Shebo Shebo BARAN dy
Pa Jara Jara ASMAN dy
Yao Taraf ta Zindagi da
Bal Taraf Ta Me JANAN dy
Sumra Sakhta Marhala da
Che Ashna Rana RAWAN dy
Sok de Mala Jawab Raki
Che da Gata Ka TAWAN dy.
Raah e ishq men wapsi k raastay nhi rehtay
Raah e ishq men wapsi k raastay nhi rehtay
jo is raah men bhatak jaayen woh kahin k nhi rehtay
muhabbaton men dooriyan koi maa'ni nhi rakhtin
dil jo dil k qareeb hon to faaslay nhi rehtay
muhabbat khud he sikha deti hai raazi ba raza hona
jab ishq kaamil ho jaaey to phir gilay nhi rehtay
muhabbaton men wafaaon ka tasalsul bhi zaroori hai
rabt toot jaaey to woh silsilay nhi rehtay
aao us ki yaadon ko hamsafar kar lain raasikh
itni barri duniya men yuun akailay nhi rehtay.
Mujhe Duaon Mein Yaad Rakhnaa Mera Asaasa Hai Dosti Hai
Mujhe Duaon Mein Yaad Rakhnaa
Mera Asaasa Hai Dosti Hai
Ye Ghup Andheron Mein Roshni Hai
ye Kaali Raaton Mein Chaandni Hai
Isi Sahare Guzar Rahe Hen
Ye Zindagi K Haseen Lamhay
Ye Meri Izzat Ye Meri Shohrat Hai
Doston Ki Dua Ka Haasil
Mujhe Duaon Ka Aasra Hai
Meri Bas Itni Si Iltija Hai
Mujhe Duaon Mein Yaad Rakhnaa.
Mujhe Duaon Ka Aasra Hai
Meri Bas Itni Si Iltija Hai
Mujhe Duaon Mein Yaad Rakhnaa.
Sad Poetry, Latest Poetry, Images Poetry,
Dil Ki Lagi Kuch Aur Bhi Dil Ko Deewana Karay
Meri Iltija Hai Khuda Say Dua Hai Do Dil Juda Na Kara.
Latest Poetry, Sad Poetry, Urdu Poetry, Images Poetry,
Haaye logoN ki karam-farmaaiyaaN
tohmateN badnaamiyaaN rusvaaiyaaN
zindagii shaayed isi kaa naam hai
duuriyaaN majbuuriyaaN tanhaaiyaaN
kyaa zamaane meN yuuN hi kaTtii hai raat
karvateN betaabiyaaN angRaaiyaaN
kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
aahaTeN ghabraahaTeN parchhaiyaaN.
tohmateN badnaamiyaaN rusvaaiyaaN
zindagii shaayed isi kaa naam hai
duuriyaaN majbuuriyaaN tanhaaiyaaN
kyaa zamaane meN yuuN hi kaTtii hai raat
karvateN betaabiyaaN angRaaiyaaN
kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
aahaTeN ghabraahaTeN parchhaiyaaN.
Latest Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry, Mohabbat Poetry,

Mere Ho K Rahooo
Apni khatir jagay ho soye ho
Apni khatir hansay ho roye ho
Kis liye aj khoye khoye ho
Tum ne ansu bohat piye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere sirf mere ho k raho
Husn hi husn ho zahanat ho
Ishq hoon mein to tum mohabbat ho
Tum meri bas meri amanat ho
Jee liye' jis qadar jiye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere sirf mere ho k raho
Rehte ho ranj-o-gham k gheron mein
Dukh k asaib k baseron mein
Tum ko de doonga sab diye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere sirf mere ho k raho
Tum Azal se dukhoon k dairay ho
Chahy khudko ghamon se gheray ho
Jabse paida huay ho mere ho
Aj kholeinge lab siye apne
Ab mere sirf mere ho k raho
Dil ki har baat dil se kehne do
Meri baahon mein khudko behne do
Mudatteon zakhm khud sahay apne
Tum Bohat saal reh liye apne
Ab mere sirf mere ho k raho.
Urdu Poetry, Sad Poetry, Nice Poetry, Latest Poetry, Images Poetry, Heart Touching Poetry, Best Heart touching Poetry,

Dost bhi raah ki Deewar samajhte hain mujhe
Main samajhta tha meray yaar samajhte hain mujhe
Main to Yun Chup hoon k andar se bahot Khali hoon
Aur sub log pur-israar samajhte hain mujhe
Main badalte huye halat main Dhal jata hon
Dekhne wale Adakar samajhte hain mujhe
Wo jo us paar hain un k liye is paar hon main
Wo Jo is paar hain us paar samajhte hain mujhe
Naik logon main naik ginna jata hon
Aur gunahgar gunahgar samajhte hain mujhe.
Latest Poetry, Images Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry, Barish poetry,

Barish ki taiz bondon ny jab dastak di darwazy pr
Mehsos hua tum aay ho andaz tumhary jesa tha
Hawa k halky jhonky ki jab aahat hui khirki pr
Mehsos hua tum aay ho andaz tumhary jesa tha
Main tanha chala jab barish me Ekjhonky ny mera sath dia
Main samjha tum ho sath mere ehsas tumhary jesa tha
Phir ruk gai wo barish bi Rahi na baqi aahat bi
Main samjha mujhy tum chor gay andaz tumhary jesa tha.
Subscribe to:
Posts (Atom)












