Showing posts with label Wasi Shah Poetry. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah Poetry. Show all posts

Juda hony k mosam me juda hona zrori tha, Wasi Shah Poetry, Wasi Shah,


Juda hony k mosam me juda hona zrori tha
Najany q kisi ka bewfa hona zruri tha,

Mere dil ne jo is ko poojany ki intha kr di
To phir us bewafa ka be Khuda hona zruri tha,

Kisi se koi b shikwa na koi b shakyat ha
Jo mery sath chaht mein huwa hona zruri tha,

Bht nazdek thay dil is liye ab dooriyan b hain
Dilon k dermiyan kuch fasla hona zrori tha,

Usy b drd deny ka bht he shok tha “Wasi”
Hmy b dArd o gham sy ashna hona zrori tha.



Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, 
Urdu Ghazal, Heart Touching Ghazal, 

Hijr ka taara doob chala hai, Wasi Shah, Wasi Shah Best Poetry, Heart Touching Poetry By Wasi Shah,


Hijr ka taara doob chala hai, dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi

Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay
Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi

Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay?
Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi

Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi

Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai
Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi

Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat "WASI".

Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain

Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain
tre aankhon ko parhta hon to aankhain bheeg jati hain

tumhara nam likhnay ke ijazat chin gai jub say
koi bhe lafz likhta hon to aankhain bheeg jati hain

tery yadon ke khushbo khirkyun may raqs karti hay
teray ghum may sulagta hon to aankhain bheeg jati hain

may huns kar jhail leta hon judai ke subhi rusmain
gulay jub us k lagta hon to aankhain bheeg jati hain

na janay ho gya hon isqadar hassa may kub say
kisi say bat karta hon to aankhain bheeg jati hain

wo sub guzray huay lumhat kujh ko yaad aatay hain
tumharay khut jo parhta hon to aankhain bheeg jati hain

may sara din bohot musroof rehta hon megar junhi
qudam chokhat pay rakhta hon to aankhain bheeg jati hain

her ik muflis k mathay pay alum ke dastanain hain
koi chehra bhe parhta hon to aankhain bheeg jati hain

bray logon k oonchay budnuma aur sard mehlon ko
ghareeb aankhon say takta hon to aankhain bheeg jati hain

teray koochay say ab mera tauluq wajbi sa hay
mugar jub bhe guzarta hon to aankhain bheeg jati hain

huzaron moosmoon ke hukmrani hay meray dil per
"wasi" may jub bhe hunsta hon to aankhain bheeg jati hain.

Sari raat ki jaagi aankhein

Sari raat ki jaagi aankhein
College mein kiya parrhti hon gi,

Yunhi khoye, dil hi dil mein
Jaanay kiya kiya karti hon gi,

Sari raat ki jaagi aankhen
Koi bolay, kaan na dharna,

Koi hillay to ek dam darna
Koi daikhe in ka barhna,

Apne aap say larti hon gi
Sari raat ki jagi aankhein,

Apni kitaabein phartey rehna
Us ki baaten kartey rehna,

Us ki yaadein ghartey rehna
Jeetay jeetay marti hon gi,

Sari raat ki jagi aankhein
College mein kiya parrhti hon gi.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...