Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain

Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain
tre aankhon ko parhta hon to aankhain bheeg jati hain

tumhara nam likhnay ke ijazat chin gai jub say
koi bhe lafz likhta hon to aankhain bheeg jati hain

tery yadon ke khushbo khirkyun may raqs karti hay
teray ghum may sulagta hon to aankhain bheeg jati hain

may huns kar jhail leta hon judai ke subhi rusmain
gulay jub us k lagta hon to aankhain bheeg jati hain

na janay ho gya hon isqadar hassa may kub say
kisi say bat karta hon to aankhain bheeg jati hain

wo sub guzray huay lumhat kujh ko yaad aatay hain
tumharay khut jo parhta hon to aankhain bheeg jati hain

may sara din bohot musroof rehta hon megar junhi
qudam chokhat pay rakhta hon to aankhain bheeg jati hain

her ik muflis k mathay pay alum ke dastanain hain
koi chehra bhe parhta hon to aankhain bheeg jati hain

bray logon k oonchay budnuma aur sard mehlon ko
ghareeb aankhon say takta hon to aankhain bheeg jati hain

teray koochay say ab mera tauluq wajbi sa hay
mugar jub bhe guzarta hon to aankhain bheeg jati hain

huzaron moosmoon ke hukmrani hay meray dil per
"wasi" may jub bhe hunsta hon to aankhain bheeg jati hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...