Wo Misl-e-Khwab Hi rehta tu kitna acha tha

Wo Misl-e-Khwab Hi rehta tu kitna acha tha
Wo Mere saath hi rehta tu kitna acha tha

Subhein haseen tu shamein bohat khushgawar hoti
Wo mere shaher mein hota tu kitna acha tha

Hawa k dosh pe pheli hoi thi uski mehak
Hawa ka rukh na badalta tu kitna acha tha

Main zindagi k masaail say larr bhi sakta tha
Wo hosla mujhe dayta tu kitna acha tha

Na ab milein gey na batein na phr mulaqatein
Wo yehi baat na kehta tu kitna acha tha.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...