Woh dey raha hai dilasey tu umar bhar kay mujhe
Bichar najaye kahiin phir udaas kar kay mujhe,
Jahan na tu na teri yaad kay qadam honge
Darra rahe hain wohi marhaley safar kay mujhe,
Huwa-e-dasht mujhe ab tu ajnabi na samanjh
Kay ab tu bhool gaye rastey bhi ghar kay mujhe,
Yeh chand ashk bhi tere hain shaam-e-gham lekin
Ujalne hain abhi Khaal-o-khad sehar kay mujhe,
Dil tabah tere gham ko talney kay liye
Suna raha hai afsaney idher udher kay mujhe,
Qaba-e-zakham badan per saja kay nikla hoon
Woh ab mila bhi tu dekhe ga ankh bhar kay mujhe,
Kuch iss liye bhi ous se bichar gaya Mohsin
Woh dour dour sey dekhey tehar tehar kay Mujhe.

Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal,
Urdu Poetry, Latest Urdu Ghazal, New Urdu Poetry,
Very good sir.
ReplyDeleteHeart touching ghazals