Chalo Phr Dhoond Laein Hum
Usi Masoom Bachpan Ko
Unhi Masoom Khushiyon Ko
Unhi Rangeen Lamhon Ko
Jaha Ghum Ka Pata Na Tha
Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi
Jahan Bus Muskurahat Thi
Baharein Hi Baharein Thi
Chalo Phr Dhond Laein Hum
Usi Masoom Bachpan Ko
K Jab Sawan Barasta Tha
To Us Kaghaz Ki Kashti Ko
Bana'na Aur Duba Dena
Boht Acha Sa Lgta Tha
Aur Is Duniya Ka Hr Chehra
Boht Sacha Sa Lagta Tha
Chalo Phir Dhoond Layen
Hum Usi Masoom Bachpan Ko.
No comments:
Post a Comment