Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milein
Jis Tarha Sookhe Howay Phool Kitabon Mein Milein
Dhoond Ujre Howay Logon Mein Wafa K Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milein
Gham-E-Dunia Bhi Gham-E-Yar Mein Shamil Kar Lo
Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein
Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kion Hijabon Mein Milein
Aaj Hum Dar Pe Khainche Gaye Jin Baton Par
Kia Ajab Kal Wo Zamane Ko Nisabon Mein Milein
Ab Na Wo Main Hon Na Too Hai Na Wo Mazi Hai.

No comments:
Post a Comment