Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai
Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai
Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai
Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai
Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai
Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai
Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai
Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai
Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai
Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai.
No comments:
Post a Comment