Her pal badalti hai zindagi


Her pal badalti hai zindagi
tanhayi ka ye mausam nahi badalta

raat se din bhi hote hain
mere jeevan mein savera nahi hota

jala chuki hon un guzre lamhon ko
phir b dilse wo nishan nahi matta

jane kin raahon pe zindagi hai khoyi
phool bhi aankhon mein hai chubta

nazro mein saamati thi ye saari duniya
ab nazro ko sirf wo manzar hai dekhta

jeena nahi aashan marna bhi mushkil hua
ke RANI ki hathon mein woh aisa zehar degaya.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...