Her taraf besumaar khushiyaan nazar aayi


Her taraf besumaar khushiyaan nazar aayi
khiza ke mausam mein bhi bahaar nazar aayi

dil mein armaano ka sagar nazar aaya to
kahin pyaar mein bheega hua sawan nazar aaya

kahin phoolon per bhaithi hui shabnam gunguna rahi thi
to kahin oer jalti hui shama bhi muskura rahi thi

her ek pal tha jazbaaton ki khushbu se mehka hua
waqt yun lagta tha jaise hai kahin thehra hua

par aaj yun lagta hai jaise jeene ka sahara choot gaya
khushiyo ka farishta bhi meri zindagi se jaise rooth gaya

ab na woh bahar hai na jazbaaton se mehka hua samaa
na koi ummeed hai ab, na hai armaano ka jahaan

ab to bus tanhaaiyon ka saath hai or kuch nahi
maut ka intezaar hai ab jeene ki koi chah baki nahi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...