Mita de apni Husti ko Agar doh Martba Chahe
Ke Dana Khak may Milkar Gul-e-gulzar hota hay
Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein
Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein
har dil mein kahi chuppa hua gum hein
Rakibo ke sir galat ilzame bewafai hai
Gairo ne to sirf hava di hai
Aag apano ne lagayi hai
Pyaar toh kiya mainey bahut
magar izhaar na karna aaya
usney poocha toh mujhsey bahut
magar ikraar na karna ayaa
husn-o-jawani ho to har aik ko gharoor aata hai
tere bahar adaoon ko dekh kar hamain saroor aata hai
tujeh bahar kaha to iss leye kay har mosaam
shajar se rooth bhi jaye to lot kar zaroor aata hai
Us falak ke teer ka kya nishana tha
Jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha
Bas pahunch hi rahi thi kashti saahil pe
Is toofan ko bhi abhi hi aana tha.
No comments:
Post a Comment