Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun

Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun
jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun

na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun
jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun

mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya
jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun

paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun
koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun

main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya
main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...