Ghazal Sun Kar Preshan Ho Gaye Kia, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Ahmed Faraz, Ahemd Faraz Urud Poetry, Faraz urdu Poetry,


Ghazal Sun Kar Preshan Ho Gaye Kia?
Kisi K Dhian Mein Tum Kho Gaye Kia?
Ye Baigana Ravi Pehle Nahi Thi
Kaho Tum Bhi Kisi K Ho Gaye Kia?
Na Parsash Na Samjhane Ko Aaye
Humare Yar Hum ko Ro Gaye Kia?
Abhi Kuch Der Pehle Tak Yehern Thay
Zamana Ho gia Tum Kho Gaye Kia?
Kisi Taaza Rafaqat Ki Falak Hai
Purane Zakham Ache Ho gaye Kia?
Palat Kar Charagar kion Aa gaye Hain
Shab-e-Furqat K Maare So Gaye Kia?
Faraz Itna Laho Utra Hosle Par
Usay Bhoole Zamane Ho gaye Kia.

Dasht-E-Afsurda Mein Ek Phool Khila Hai So Kahan, Faraz Urdu Poetry, Ahemd Faraz Urdu Poetry, Faraz Urdu Ghazal, Heart Touching Urdu Ghazal By Ahmed Faraz,


Dasht-E-Afsurda Mein Ek Phool Khila Hai So Kahan
Wo Kisi Khawab-E-Gurizaan Mein Mila Hai So Kahan
Hum Ne Mudat Se Koi Hajo Na Wasokht Kahi
Wo Samjhte Hain Humain in Se Gela Hai So Kahan
Hum Teri Bazam Se Uthe Bhi To Khali Daman
Log Khte Hain K Har Dukh Ka Sela Hai So Kahan
Aankh isi Toor Barasti Hai To Dil Rasta Hai
Yuon To Har Zakhm Qareene Se Sela Hai So Kahan
Barha Kocha Jaana Se Bhi Ho Aaye Hain
Hum Ne Mana Kahen Janat Bhi Dela Hai So Kahan
Jalva Dost Bhi Duhndla Gia Aakhir Ko FARAZ
Warna Kehne Ko To Gham Dil Ki Jala Hai So Kahan.

Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage, Urdu Poetry by AHmed Faraz, Ahmed Faraz Poetry, Faraz Ghazal Poetry, Ahmed Faraz Urdu Ghazal,


Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage
Hawa Chali Hai To Jhonke Udas Karne Lage
Gai Ruton Ka Taluq Bhi Jaan Leva Tha
Bahut Se Phol Naye Mosamon Mein Marne Lage
Wo Mudaton Ki Judai K Bad Hum Se Mila
To is Tharah Se K Ab Hum Guraiz Karne Lage
Ghazal Mein Jaise Tere Khad-O-Khaal Bool Uthen
K Jais Tarah Teri Tasveer Baat Karne Lage
Bahut Dinon Se Wo Ghambeer Khamshi Hai FARAZ
K Log Apne Khayalon Se Aap Darne Lage.

Gai Ruton Mein To Sham-O-Sahar Na Thay Ayse, Faraz Poetry, Ahmed Faraz Ghazal Poetry, Urdu Poetry By Ahmed Faraz, Faraz Urdu Poetry, faraz Poetry, Ahemd FarazzGhazal,


Gai Ruton Mein To Sham-O-Sahar Na Thay Ayse
K Hum Udas Bahut Thay Magr Na Thay Ayse
Yahan Bhi Phol Se Chehre Dekhai Dete Thay
Ye Ab Jo Hain Diwaar-O-Dar Na Thay Ayse
Mile To Khair Na Milne Pe Ranjshen Kaisi
K Us Se Apne Marasam Thay Par Na Thay Ayse
Rafaqton Se Mara Hoon Musafaton Se Nahi
Safar Wohi Thay Magr Hum Safar Na Thay Ayse.

Us Ne Jab Chane Walon Se Ata'at Chahi, Urdu Poetry By Ahemd Faraz, Ahmed Faraz Poetry, Faraz Poetry, Faraz Best Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Urdu Ghazal By Ahmed Faraz, Urud Ghazal, Heart Touching Urud Ghazal,


Us Ne Jab Chane Walon Se Ata'at Chahi
Hum Ne Aadaab Kaha Aur ijazat Chahi
Yuon Hi Bekaar Mein Kab Tak Behta Rehta
Us Ko Fursat Jo Na Thi Hum Ne Rukhsat Chahi
Sekwa Naqadri-E-Dunia Ka Karen Kia K Humein
Kuch Ziada Hi Mili Jetni Muhabbat Chahi
Raat Jab Jama Thay Dukh Dil Mein zamane Bhar K
Aankh Chhapka K Gham Yaar Ne Khalwat Chahi
Hum Jo Pamaal-E-Zamana Hain To Herat Kion Hai
Hum Ne Aaba K Hawale Se Fazeelat Chahi
Mein To Le Aaya Wohi Pairahan-E-Chak Apna
Us Ne Jab Khalat-O-Dastaar Ki Qeemat Chahi
Husan Ka Apna Hi Shaiwa Tha Taaluk Mein FARAZ
ishq Ne Apne Hi Andaaz Ki Chahat Chahi.

Faraz Poetry, Ahmed Faraz, Ahemd Faraz Poetry, Urdu Poetry By Ahmed Faraz, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhane Wala
Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala
Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala
Kia Kahein Kitne Marasim The Hamare Is se
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Phair Ke Jane Wala
Tere Hote Howay Aa Jaati Thi Saari Duniya
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala
Muntazir Kis Ka Hon Tooti Hoi Dehleez Pe Main
Kon Aay Ga Yahan Kon Hai Aane Wala
Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte
Hai Koi Khwaab Ki Tabeer Batane Wala
Kia Khabar Thi Jo Meri Jan Mein Ghula Hai Itna
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Dar Bhi Laane Wala
Tum Takaluf Ko Bhi Ikhlas Samajhte Ho Faraz
Dost Hota Nahi Har Hath Milane Wala.

Ahmed Faraz, Ahmed Faraz Poetry, Faraz Poetry, Faraz Urdu Poetry,Heart Touching Urud Poetry By Ahmed Faraz,


Youn To Mehroom-E-Nava Kab Se Dahan Mera Tha
Phir Bhi Charcha Howa Jis Ko Wo Sukhan Mera Thi
Mein Ne Kis Nasha Nakhoot Mein Kamaan Khinchi Thi
Teer Jais Jaisam Mein Utra Wo Badan Mera Tha
Too Kabhi Ghoor Se Dekh Apni Quba-E-Rishm
Tere Khalt Mein Koi Taar-E-Kafan Mere Tha
Ab To Mujh Ko Bhi Nadamat Hai Wafa Par Apni
Muktalif Kitna Zamane Se Chalan Mera Tha
Takhri Shaam-E-Khizaan Toot K Yaad Aati Hai
Pher Nashiman Hi Mra Tha Na Chaman MeraTha
Meri Aankhon Ne Jo Dekha Mere Lab Par Aaya
Meri Taqseer Hi Be Sakhta Pan Mera Tha
Thi Ufaq Ta Ba Ufaq Yuon To Meri Khaak FARAZ
Kais Qadar Tang Magar Mujh Pe Watan Mera Tha.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...