Jo hain aashna sir’re asraar ke

Jo hain aashna sir’re asraar ke
Wo hain yaar har yaar-o-aghyaar ke

Andhera ujaala, nihaan aur ayaan
Ye jalwe hain sab jalwa-e-yaar ke

Bahaar-o-khizaan hum pe hai eksaan
Kabhi yaar-e-ghul hain kabhi khaar ke

Idhar ki nahin jaante rasm-o-raah
Miyan hum to baashinda hain paar ke

Kahaan se kahaan le ke panhucha ye dil
Malaayak jahaan se rahye haar ke

Nahin Qais-o-Farhaad sa main Niyaz
Ke hon gard-e-sahra–o-kohsaar ke.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...