Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne
Apna deewana banaaya merey jaana tu ne

Jab se dekha hai tujhe, dil nahin kaabu mein mera
Kafir-e-ishq bana kar liya imaan tu ne

Khusha-naseeb ke nisbat ataa kiya tu ne
Karam kiya, mujhe apna bana liya tu ne

Hazaar baar yahi sochta hoon rah-rah kar
Main kya tha aur mujhe kya bana diya tu ne

Isi adaa pe teri mit gaye hain deewane
Khata hui to khata ko chhupa liya tu ne

Ye mera zarf, khata pe khata hui mujhe se
Wo shaan teri, karam pe karam kiya tu ne

Teri talash mein jab gum hua koi banda
To us ko bandey se maula bana diya tu ne

Terey ehsaan ka badla to nahin ho sakta
Meri mushkil ko humesha kiya asaan tu ne.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...